Posts

Showing posts with the label Ibn-e-Insha

Aaj to hum ko paagal keh lo...

Aaj to hum ko paagal keh lo, pathar phenko, tanzz kar lo, Ishq ki baazi khel naheen hain, khelo ge to haaro ge..! Ibn e Insha

Hum jungle ke jogi...

Hum jungle ke jogi, hum ko aik jagha araam kahan, Aaj yahan, kal aur nagar, subah kahan to shaam kahan.!

Dil dard ki shiddat se..

Dil dard ki shiddat se khoon-gashta-o-see paara, Is sheher mein phirta hai ek wehshee-o-awara, Shayar hai ke aashiq hai, jogi hai ke banjara, Darwaza khula rakhna, Seene se ghata uthe, aankhon se jhari barse, Phaagan ke nahi badal, jo chaar ghadi barse, Barkha hai ye bhaado ki, barse to badi barse, Darwaza khula rakhna, Aankhon mein ek alam, aankhon mein to duniya hai, Honthon pe magar mohrein, munh se nahi kehta hai, Kis chiz ko kho baitha hai, kya dhundne nikla hai, Darwaza khula rakhna, Haan thaam mohabbat ki gar thaam sake dori, Sajan hai, tera sajana, ab tujhse to kya chori, Yeh jis ki manaadi hai basti mein teri gori, Darwaza khula rakhna, Shikwon ko utha rakhna, aankhon ko bichha rakhna, Ek shama dareeche ke chaukhat pe jala rakhna, Mayoos na phir jaaye, haan paas-e-wafa rakhna, Darwaza khula rakhna darwaza khula rakhna.

Bhala gardish e Falak...

Bhala gardish e Falak falak chain deti hai kisay Insha Ghaneemat hai k hum soorat yahan do chaar bethay hain.!