Khabar nahi thi Jo khuwab mein hai Wo khuwab mein bhi na mil saky ga Khabar nahi thi kisi bhi rutt mein bhi Ye phool dil ka na khil saky ga Wo un-kahi thi ke na rasai Jo qurbaton ka na aya mousam Wo un-kahi thi ke na rasai Jo qurbaton ka na aya mousam Ye mein ne socha kabhi nahi tha Ke sochne ki saza mily gi Muhabbaton ki praayi, baarishon mein Bheegne ki saza mily gi Badal geya hai qareeb aa ke Khuwahishon mein nahaya mousam